Bewafa Poetry in Urdu – Latest collection of sad bewafa shayari in Urdu. Best Bewafa Shayari text from famous poets. Read bewafa poetry in Urdu in 2 lines.
bewafa poetry in Urdu 2 lines
Agar ap ko be talash hai bewafa poetry ke to ap sahi jagah par aye ho. Yahan par apko bewafa shayari ke bohat sare shair milenge. Jese ke ap sab ko pata har aik insan ya bohat sare insano ko pyar me dhoka mil jata hai.
Ya koi unko chor jata hai. Or pir wo apny gham ko sambhal nahi skta. Islie ya to woh sad songs sunta hai ya phir poetry ke talash karta, kabhi kabhi movies ka sahara be ly leta hai. Kuch log to nasha karna start kar dete hai or agay jate rehte hai yahan tak ke chars or sharab peeny lag jate hain. Apne deen or apne society tak ki doori ikhtar kar lety hai.bewafa poetry in urdu
ہماری موت بھی کیا موت ہوگی
تم پہ مرتے ہوئے مر جائیں گے
Hamaari maut bhi kya maut hogi
Tum pe mar’te hue mar jayenge
وہی رات بھر تذکرہ تھا تمہارا
وہی نیند بیٹھی رہی منہ بنا کے
Wohi raat bhar tazkira tha tumhara,
Wohi neend bethi rahi munh bana ke
آؤ آنکھیں ملا کے دیکھتے ہیں
کون کتنا اداس رہتا ہے
Aao, aankhen mila ke dekhte hain,
Kaun kitna udaas rehta hai.
bewafa poetry in urdu 2 lines sms
تیرے کمرے کے آئینے کو میں
دشمنوں میں شمار کرتا ہوں
Tere kamre ke aaine ko main,
Dushmanon mein shumaar karta hoon.
تقدیر سے ھوں لاچار اے ذُوق تمنا
ہر فن میں ھوں ماہر بس محبت نہیں آتی
Taqdeer se hoon laachaar ae zauq-e-tamanna,
Har fun mein hoon mahir, bas mohabbat nahi aati.
تیرے گمان تک بھی نہیں
وہ جو درد سہہ بھی لیئے ہم نے
Tere gumaan tak bhi nahi,
Woh jo dard saha bhi liye humne.
پھر نیا ہاتھ تھاما اس نے
پھر ہاتھوں کو جلایا میں نے
Phir naya haath thaama iss ne,
Phir haathon ko jalaaya main ne.
تیرے بعد میں جس کا ہوگیا
پگلی اسی کا نام اداسی ہے
Tere baad jis ka ho gaya,
Pagli, usi ka naam udaasi hai.
چہرہ وہی رہا مگر آنکھیں بدل گئیں
اک پل میں مجھ کو جان سے انجان کر گیا
Chehra wahi raha magar aankhein badal gayi,
Ek pal mein mujh ko jaan se anjaan kar gaya.
sad bewafa poetry in urdu
داستان ختم ہونے والی ہے
تم میری آخری محبت ہو
Daastaan khatam honay wali hai,
Tum meri aakhiri mohabbat ho.
کچھ درد لا جواب ہیں
کچھ میں بھی بے مثال ہوں
Kuchh dard lajawab hain,
Kuchh main bhi be-misaal hoon.
آؤ نا مل کر ڈھونڈ لائیں کوئی وجہ
پھر سے ایک ہونے کی
Aao, na mil kar dhoondh lain koi wajah,
Phir se ek honay ki.
تم سے ملنا ضروری نہیں تھا
تمہارا مل جانا—ضروری تھا
Tum se milna zaroori nahi tha,
Tumhara mil jaana – zaroori tha.
جو زہر پی چکا ہوں تم ہی نے مجھے دیا
اب تم تو زندگی کی دعائیں مجھے نہ دو
Jo zehar pee chuka hoon, tum hi ne mujhe diya,
Ab tum to zindagi ki duaaein mujhe na do.
duniya ye bewafa poetry in urdu
وہ کبھی لوٹ کر چلا آئے
یہ میں اب فرض بھی نہیں کرتا
Woh kabhi laut kar chala aaye,
Yeh main ab farz bhi nahi karta.
میں تم سے عشق کر بیٹھا ہوں
آدم زاد ہوں, بھول کر بیٹھا ہوں
Main tum se ishq kar betha hoon,
Adamzad hoon, bhool kar betha hoon
وفائیں سیکھ لو ہم سے
کہیں کرنی نا پڑ جائیں
Wafaayein seekh lo hum se,
Kahin karne na par jaayein.
best bewafa poetry in urdu for boys
بات کرنا اور پھر مکرجانا
اہلِ کوفہ کا سایہ ہے تجھ پر
Baatein karna aur phir mukar jana,
Ahl-e-Kufa ka saya hai tujh par
یونہی آنکھوں سے آنسو نہیں گرتے
عشق اس قدر مجبور کر دیتا ہے
Yunhi aankhon se aansoo nahi girte,
Ishq is qadar majboor kar deta hai.
یہ بھی اک تماشہ ہے عشق و محبت میں ۔
دل کسی کا ہوتا ہے اور بس کسی کا چلتا ہے۔
Yeh bhi ek tamasha hai ishq-o-mohabbat mein,
Dil kisi ka hota hai, aur bas kisi ka chalta hai
ہم سے ملنے میں اک خرابی ہے
پھر کسی اور کے نہیں رہو گے تم
Hum se milne mein ek kharaabi hai,
Phir kisi aur ke nahi rahoge tum.
تم سے ہی تھی تم سے ہی ہے
محبت جو تھی محبت جو ہے
Tum se hi thi, tum se hi hai,
Mohabbat jo thi, mohabbat jo hai.
آپ چاہتے ہیں عمر بھر یاد رکھوں
آپ کو آپ ایسا کیجۓ مجھ کو دھوکا دیجۓ
Very sad bewafa poetry in urdu girl
Aap chahte hain umar bhar yaad rakhun,
Aap ko aisa kije, mujh ko dhoka de dije.
سانس میری الجھ جاتی ہے
جب تیرا نام کوئی اور لیتا ہے
Saans meri uljhi jaati hai,
Jab tera naam koi aur leta hai.
تجھ سے ملتا ہوں تو سوچتا ہوں
کہ وقت کے پاؤں میں زنجیر ڈالوں کیسے
Tujh se milta hoon to sochta hoon,
Ke waqt ke paon mein zanjeer daalun kaise.
تری معصوم نگاہوں کے تقدس کی قسم
دل تو کیا روح نے بھی تجھ سے محبت کی ہے
Teri masoom nigahon ke taqaddus ki qasam,
Dil to kya, rooh ne bhi tujh se mohabbat ki hai
جو لوگ نصیب میں نہیں ہوتے
ان سے محبت کمال کی ہوتی ہے
Jo log naseeb mein nahi hote,
Un se mohabbat kamal ki hoti hai
بک گئے ہم تو اس کے ہاتھ
صرف دو بول محبت میں
Bik gaye hum to uss ke haath,
Sirf do bol mohabbat mein.
best bewafa poetry in urdu wasi shah
عجیب سی بندش ہے اس کی محبت میں
نہ وه قید کر سکا نہ هم آزاد ہو سکے
Ijziib si bandish hai is ki mohabbat mein,
Na woh qaid kar saka, na hum azaad ho sake.
وہ ملا ہے تو اب یہ غم ہے
پیار زیادہ ہے زندگی کم ہے
Woh mila hai to ab yeh gham hai,
Pyar zyada hai, zindagi kam hai
Tags: Heart Touching Poetry, 2 lines poetry, New Best Poetry in Urdu 2 Lines
♥You Might also Like ♥